Friday, July 29, 2011

Ek aansun aaya
Kuch ankahi keh kar hi ruk payaa
Thodi gam diya, aur thoda hame sikhlaya

ankho ke is dariyaa ka koi kinaara nahi
dil ke gamo ka koi sahara nahi
bas dil kuch yaadein piroota hai
kabhi kabhi kissi kone mai yeh bhi rota hai

Ek din aisa bhi aaya
Jab aansun hi nahi aaya
Thoda hairan hua aur thoda mai ghabraya
Phir bhi khud ko hamne samjhaya
bas dil kuch yaadein piroota hai
kabhi kabhi kissi kone mai yeh bhi rota hai

No comments:

Post a Comment